Saturday, October 28, 2006

I found this poem long back on net. I myself am not very apt at writing romantic prose and thus try to find solace in other's writings.

"याद किसी की गीत बन गई ! "

कितना अलबेला सा लगता था, मुझे तुम्हारा हर सपना
साकार बनाने से पहले , क्यों फेरा प्रेयसी मुख अपना
तुम थी कितनी दूर और मैं, नगरी के उस पार खङा था
अरुण कपोलों पर काली सी, दो पलकों का जाल पङा था
अब तुम ही अनचाहे मन से अंतर का संगीत बन गई ।

याद किसी की गीत बन गई !

उस दिन हंसता चांद और तुम , झांक रही छत से मदमाती
आंख मिचौनी सी करती थीं, लट संभालती नयन घुमाती
कसे हुए अंगों में झीने, पट का बंधन भार हो उठा
और तुम्हारी पायल से, मुखरित मेरा संसार हो उठा
सचमुच वह चितवन तो मेरे, अंतर्तम का मीत बन गई ।

याद किसी की गीत बन गई !

तुम ने जो कुछ दिया आज वह मेरा पंथ प्रवाह बना है
आज थके नयनों में पिघला, आंसू मन की दाह बना है
अब न शलभ की पुलक प्रतीक्षा, और न जलने की अभिलाषा
सांसों के बोझिल बंधन में, बंधी अधूरी सी परिभाषा
लेकिन यह तारों की तङपन, धङकन की चिर प्रीत बन गई ।

याद किसी की गीत बन गई !

Sunday, October 15, 2006

This poem was jotted down by me in year 2001 on Christmas Eve. That was precisely the period when I was in the process of internal restructuring. This piece oozed out from the vent somewhere deep inside.


Par kaise na dekhoon…

Kehte hain sab palatkar na dekho,

Palatkar dekhne se raftaar mand pad jaati hai.

Par kaise na dekhoon palatakar apne ateet ko main,

Jab beete hue kal ki har smriti mujhe sukhad najar aati hai …


Dekhtaa hoon palatakar jab apne ateet ko main,

Har ehsaas main nayee umang pratibimbit dekhai padti hai.

Bichde saathi yaad aate hain,

Wo hasee thitholiyaan man main unmukt vicharti hain.

Aur haan,naye taaron ke ubharne se,

Puraane taaron ki chamak nahi kho jaati hai...

Par kaise na dekhoon...


Sochta hoon kabhi akelepan main ,

Kitne ache hua karte the wo din.

Jab “kuch” paane ke liye “bahut kuch” nahin khona padta tha.

Aur apni aas paas ki hawaaon se bekhabar,

Main bas safalta ki prateekhsha kiya karta tha.

Svikaarya nahin hai sach par shayad,

Aankhein moond ke chalne se kabhi kabhi pagdandiyaan badal jaati hain.

Par kaise…


Aasaan bahut hai kosnaa apne-aap ko,

Hameshaa se bas yehi to kartaa aayaa hoon.

Puraani vismratiyon ko yaad kar-kar ke,

Aaj ko kal main badalne ki vidhi hi seekh payaa hoon.

Shayad ab ye samajhne ka waqt aa gaya hai ki,

Sansaar ki har kitaab "karma" ki mahatta hi sikhaati hai.

Par kaise na dekhoon…