Tuesday, December 05, 2006

Another post after a long gap.Sometimes even when one doesnt have any work,the sense of being busy takes a toll...Anyways,this piece owes its creation to TIME,the only constant in this ever changing world ...

WAQT!!!

Suntaa aayaa hoon sadaa se samay badal rahaa hai,

Aaj ka waqt kal ke waqt se tez chal rahaa hai.

Maantaa hoon kuch had tak main bhi is tathya ko,

Par ye raftaar nahin,bas dishaa hi to badal rahaa hai…


Agar badal raha hai waqt to kya khaami hai isme,

Parivartan bhi to hum prakriti ka hi ek niyam maante hain.

Aur chaliye maan bhi lein ki ye anetik hai,

To aadmi se badalne ki safaai kyun nahin manngte hain…


Kitnaa bhi badlaav aa gayaa ho waqt main magar,

Kam se kam nayaa waqt puraane waqt ko kostaa to nahin hai.

Aur na hi karta hai wo use laanchit purvagraho ke kaaran,

Apni galtiyaan chupaane ki khaatir unhe thoptaa to nahin hai…


Aadmiyat ke put se waqt ne khud ko bachaa rakha hai.

Aur door hai wo sabhi saamaajik kuritiyo se

Kya hua agar anishchit hai chalan waqt ka.

Chaltaa to nahin hai apnee chadma neetiyon se...


Nahi main nahin badalne doonga waqt ki is dhaara ko,

Ye kolahal mujhe neerav se kahin adhik pyaara hai.

Jeevan ki maujo ke ijtiraab main,

Yahi to ek shaant sthir kinaaraa hai…

(Aur main waqt ka sachha saathi ban gaya…)